Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Tumhe Maine Chaha Badi Chot Khayi
|
Talat Mehmood | Shivram | ||||
Raftar (1955) | Nakhshab Jaaravchi | Sad Songs | |||||
tumhe maine chaha badi chot khayi
tumhe maine chaha badi chot khayi badi chot khayi
mohabbat ne kya meri halat banai
tumhe maine chaha badi chot khayi
kaha aa gaya mai kaha re kaha
na apni khabar hai re na khud hai parai
tumhe maine chaha badi chot khayi
akele me koi sahara to hota
mera dubta ji ubhara to hota
tumhe dhundte dhundte kho gaya
mai kaha hu kahi se pukara to hota
kahi se tumhari na aawaz aayi
tumhe maine chaha badi chot khayi
yahi hai yahi kya mohabbat ki rashme
na tum mere bas me na dil mere bas me
kisi tarha ae kash mai bhul jau
adao ke wade nigaho ki kasme
wo wade wo kasme magar bewafai
tumhe maine chaha badi chot khayi
mohabbat ke rangi manjar dikha kar
nazar chhin li mujhse nazre churakar
mujhe kahe ko tumne dokhe me rakha
na mere bane mujhko apna bana kar
mita kar mujhe apni duniya basai
tumhe maine chaha badi chot khayi
mohabbat ne kya meri halat banai
tumhe maine chaha badi chot khayi