The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Lyrics of Tumhe Husn De Ke Khuda Ne Sitamgar Banaya - तुम्हे हुस्न देके खुदा ने सितमगर बनाया

tumhe husn de ke khuda ne sitamgar banaya banaya
tumhe husn de ke khuda ne sitamgar banaya banaya
tumhe husn de ke khuda ne sitamgar banaya banaya
chalo is bahane tumhe bhi khuda yaad aaya ji aaya
chalo is bahane tumhe bhi khuda yaad aaya ji aaya
chalo is bahane tumhe bhi

sitamgar nahi ho to rukh se ye parda hata do
jara apne chehre ki hum ko jhalak to dikha do
apni aaho me asar paida karo
dardedil dardejigar paida karo baad me jalwe hamare dekhna
pehle is kabil nazar paida karo
aji dil kya jigar kya mohabbat ki nazar kya
sar pathar pe takrao to us pe ho asar kya
apni aaho me asar paida karo
dardedil dardejigar paida karo baad me jalwe hamare dekhna
pehle is kabil nazar paida ka
sitamgar nahi ho to rukh se ye parda hata do
jara apne chehare ki hum ko jhalak to dikha do
agar humne apne chahere se ye parda hataya
to kahte firoge diwano khudaya khudaya khudaya
to kahte firoge diwano khudaya khudaya khudaya
tumhe husn de ke khuda ne sitamgar banaya banaya
tumhe husan de ke khuda ne

jidhar dekhne se jale dil udhar tum na dekho
aji udhar tum na dekho na dekho
magar chain kaise ho tumko agar tum na dekho
mauj masti hai kinare ke liye dil machalta hai sahare ke liye
husn aashik ki nazar ke samne aap aata hai nazare ke liye
galat hai ye fasane kare hum sau bahane
chhupe dil me tu bhi dekh le kya hai diwane
mauj uthti hai kinare ke liye dil machalta hai sahare ke liye
husan aashik ki nazar ke samne aap aata hai nazare ke liye
jidhar dekhne se jale dil udhar tum na dekho
magar chain kaise ho tum ko agar tum na dekho
ye parwana aaya jab kabhi shamma ne bulaya
bula ke jalaya jala ke kaha tu kyu aaya ji aaya
bula ke jalaya jala ke kaha tu kyu aaya ji aaya
chalo is bahane tumhe bhi khuda yaad aaya ji aaya
chalo is bahane tumhe bhi

jaha husan vale na honge vaha hum rahenge
aji vaha hum rahenge rahenge rahenge rahenge
yaha hum rahe to hamesha yahi gum rahenge
ye gali ye rasta tum chhod do ye zami ye aasman tum chhod do
is kadar humse paresan ho agar
zahar kha lo ye jaha tum chhod do
kaware hum to jaha chode ye jaha bhi
magar hum kya karenge aap agar nikale vaha bhi
ye gali ye rasta tum chhod do ye zami ye aasman tum chhod do
is kadar humse paresan ho agar
zahar kha lo ye jaha tum chhod do
jaha husan vale na honge vaha hum rahenge
yaha hum rahe to hamesha yahi gum rahenge
kai bar aji tumne yu daraya daraya daraya daraya
kaha roj marne ko lekin na mar ke dikhaya
kaha roj marne ko lekin na mar ke dikhaya
tumhe husn de ke khuda ne sitamgar banaya banaya
tumhe husan de ke khuda ne

hamesha hasino se tumko shikayat rahi hai
shikayat rahi hai rahi hai rahi hai
magar baat kya hai ki fir bhi mohabbat rahi hai
husan valo ki jarurat hai kise aji aap ho mere ye hasrat hai kise
are hum to apne ishq pe kurban hai
tum hasino se mohabbat hai kise
ye apne dil se puho dil bhi jhut bole to bhari mehfil se pucho
husan valo ki jarurat hai kise aji aap ho mere ye hasrat hai kise
are hum to apne ishq pe kurban hai
tum hasino se mohabbat hai kise
aaji hum ko hasino tum se shikayat rahi hai
magar baat kya hai ki mohabbat rahi hai
tumhe besahara dekha to apna banaya banaya
mohabbat kaha thi hume to raham tumpe aaya ji
aaya hume to raham tumpe aaya ji aaya
chalo is bahane tumhe bhi khuda yaad aaya ji aaya
tumhe husn de ke khuda ne sitamgar banaya banaya
tumhe husan de ke khuda ne