Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Tumhare Hain Tumse Daya Mangate Hain
|
Asha Bhosle, Mohammed Rafi | Shankar Jaikishan | ||||
Boot Polish (1954) | Shailendra | ||||||
tumhare hain tumse daya mangate hain
tumhare hain tumse daya mangate hain
tere ladlo ki duwa mangate hain
tere ladlo ki duwa mangate hain
yatimo ki duniya me hardam andhera
yatimo ki duniya me hardam andhera
idhar bhul kar bhi naa aaya savera
idhar bhul kar bhi naa aaya savera
isi sham ko ek pal bhar jale jo
isi sham ko ek pal bhar jale jo
ham aasha ka aisa diya mangate hain
tere ladlo ki duwa mangate hain
the ham jinki aankho ke chanchal sitare
the ham jinki aankho ke chanchal sitare
hame chhod woh iss jahan se sidhare
hame chhod woh iss jahan se sidhare
kisiki na ho jaisi kismat hai apni
kisiki na ho jaisi kismat hai apni
dukhi dil sabhi ka bhala mangate hain
tere ladlo ki duwa mangate hain
bacha ho jo roti ka tukda dila do
bacha ho jo roti ka tukda dila do
jo utra ho tan se woh kapda dila do
jo utra ho tan se woh kapda dila do
tumhare hain tumse daya mangate hain
tere ladlo ki duwa mangate hain