Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Tumhare Baghair Jeena Kya (Dialogue)
|
Aamir Khan | Sanjeev Darshan | ||||
Mann (1999) | Sameer | ||||||
tumhare bagair jeena kya
jeene ka khwaab bhi nahi dekh sakta
sanso ke bina shayad
kuch pal me jee sakta hun
lekin tumhare bina nahi
tum, han tum wo pahli ladki ho
jise main zindgi se badhkar chahne laga hun
mera aaj mera kal mere din mere pal
sirf tumhare dam se hain
meri pooja me meri duaao me
meri khamoshiyo me sadao me
sirf tum ho, sirf tum ho
taare toot jayenge chand bujh jayega
waqt yahi thahar jayega lekin
lekin ummid ki aakhiri kiran bujhne tak
aakhiri saans chalne tak tumhara raasta dekhunga
tumhara intzar karunga
han priya main tumhara intzaar karunga