Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Tum Samne Aakar Jis Dam Jalwa Sa Dikha Jate Ho
|
Asha Bhosle, Mohammed Rafi | Madan Mohan | Rajendra Kumar, Shyama | |||
Khazanchi (1958) | Rajinder Krishan | Romantic Songs | |||||
tum saamne aa kar jis dum jalwa sa dikha jaate ho
kuch tum ko khabar hai dil me ik aag laga jaate ho
tum hath pakad kar mera jab pyar jata jate ho
ik dard mita dete ho ik dard badha jate ho
jo door rahe dil baithe paas aaye to zaalim dhadke
jo door rahe dil baithe paas aaye to zaalim dhadke
shola to nazar na aaye aur aag si dil me bhadke
dum bhar ke liye kyu aa kar ye aag bujha jaate ho
ik dard mita dete ho ik dard badha jate ho
tum saamne aa kar jis dum jalwa sa dikha jaate ho
kuchh tum ko khabar hai dil me ik aag laga jaate ho
ik pyar ne kab se dil ko diwana bana rakha hai
ik pyar ne kab se dil ko diwana bana rakha hai
duniya to hai duniya khud se begana bana rakha hai
tum apne siwa duniya ki har chiz bhula jaate ho
ik dard mita dete ho ik dard badha jate ho
tum saamne aa kar jis dum jalwa sa dikha jaate ho
kuchh tum ko khabar hai dil meik aag laga jaate ho
kab tak ye bichhad kar milna mil mil ke bichhadte rehna
kab tak ye bichhad kar milna mil mil ke bichhadte rehna
jo tum ne kaha hai hum se hum ko bhi wohi hai kehna
do chaar ghadi milte ho aur hosh uda jaate ho
ik dard mita dete ho ik dard badha jate ho