Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Tum Poochho Aur Main Na Bataon
|
Bhupinder Singh | Bhupinder Singh | ||||
Mohabbat (1999) | Ghazals | ||||||
phul shabnam me dub jate hai
zakhm marham me dub jate hai
jab koi aasra nahi milta
jab koi aasra nahi milta
hum tere gham me dub jate hai
tum puchho aur main na batau
aise to haalat nahi
tum puchho aur main na batau
aise to haalat nahi
ek jara sa dil tuta hai
ek jara sa dil tuta hai
aur to koi baat nahi
tum puchho aur main na batau
aise to haalat nahi
gham ke andhiyare me tujhko
apna saathi kyu samjhu
gham ke andhiyare me tujhko
apna saathi kyu samjhu
tu phir tu hai, tu phir tu hai
tu phir tu hai, mera to saya bhi
mere sath nahi
tu phir tu hai, mera to saya bhi
mere sath nahi
ek jara sa dil tuta hai
aur to koi baat nahi
tum puchho aur main na batau
aise to haalat nahi
kisko khabar thi sanwale baadal
bin barse ud jate hai
bin barse ud jate hai
kisko khabar thi sanwale baadal
bin barse ud jate hai
sawan aaya, sawan aaya
sawan aaya lekin apni
kismat me barsaat nahi
sawan aaya lekin apni
kismat me barsaat nahi
ek jara sa dil tuta hai
aur to koi baat nahi
tum puchho aur main na batau
aise to haalat nahi
tut gaya jab dil to phir ye
saans ka nagma kya maane
tut gaya jab dil to phir ye
saans ka nagma kya maane
gunj rahi hai, gunj rahi hai
gunj rahi hai kyu shahnayi
jab koi baarat nahi
gunj rahi hai kyu shahnayi
jab koi baarat nahi
ek jara sa dil tuta hai
ek jara sa dil tuta hai
ek jara sa dil tuta hai
aur to koi baat nahi
tum puchho aur main na batau
aise to haalat nahi
aise to haalat nahi