Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Tum Nahi Aaye
|
Jagjit Singh | Jagjit Singh | ||||
Awaaz (2007) | Ali Sardar Jafri | Ghazals | |||||
jab nahi aaye the tum
tab bhi to tum aaye the
jab nahi aaye the tum
tab bhi to tum aaye the
aankh mein nur ki aur
dil mein lahu ki surat
yaad ki tarha dhadakte
hue dil ki surat
tum nahi aaye abhi
phir bhi to tum aaye ho
raat ke sine mein mehatab
ke khanjar ke tarha
subho ke haath me
khursheed ke sagar ki tarha
tum nahi aoge jab
phir bhi to tum aaoge
julf dar julf bikhar
jayega phir raat ka rang
shab-e-tanhai mein bhi
luft-e-mulakaat ka rang
aao aane ki kare batein
ke tum aaye ho
aao aane ki kare batein
ke tum aaye ho
ab tum aaye ho to main
kaun si sheh nazar karu
ke mere paas siva mehro
wafa kuch bhi nahi
ek dil ek tamanna ke
siva kuch bhi nahi
ek dil ek tamanna ke
siva kuch bhi nahi