Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Tum Chali Jaaogi Parchhaaiyaan Rah Jaayengi
|
Mohammed Rafi | Khayyam | Waheeda Rehman, Kamaljeet | |||
Shagoon (1964) | Sahir Ludhianvi | Romantic Songs, Happy Songs | |||||
tum chali jaaogi parchhaaiya rah jaayengi
kuchh na kuchh husn ki raanaaiya rah jaayengi
kuchh na kuchh husn ki
sun ke is jhil ke saahil pe mili ho mujhse
jab bhi dekhunga yahi mujhko nazar aaogi
yaad mitati hai na manzar koi mit sakta hai
dur jaakar bhi tum apne ko yahi paaogi
tum chali jaaogi parchhaaiya rah jaayengi
kuchh na kuchh husn ki
ghul ke rah jaaegi jhonko me badan ki khushbu
zulf ka aks ghataao me rahega sadiyo
phul chupake se chura lenge labo ki surkhi
ye javaan husn fizaao me rahega sadiyo
tum chali jaaogi parchhaaiya rah jaayengi
kuchh na kuchh husn ki
is dhadakati huyi shadaab-o-hasin vaadi me
is dhadakati huyi shadaab-o-hasin vaadi me
yah na samajho ki zara der ka kissa ho tum
ab hamesha ke liye mere mukaddar ki tarah
in nazaaro ke mukaddar ka bhi hissa ho tum
tum chali jaaogi parchhaaiya rah jaayengi