Lyrics of Tujhe Bhulake Maati Ki Putali Par - तुझे भूलके माटी की पुतली पर
tujhe bhul ke maati ki putli par koyi man ki khidki khol raha
jisme tera naam tule usme jag chaandi sona tol raha
apna kya hai hum toh anjaane, o teri duniya kaisi tu jaane
apna kya hai hum toh anjaane, o teri duniya kaisi tu jaane
jivan path pe nikle do pal ko hum toh apne ji ko behlaane
ho teri duniya kaisi tu jaane, yaara duniya kaisi tu jaane
tune jab duniya yeh banaayi, dharti ki chaadar failaayi
chanda suraj ki jyot jagaayi
tune jab duniya yeh banaayi, dharti ki chaadar failaayi
chanda suraj ki jyot jagaayi o yaara o yaara
par jiske liye jag tune racha woh karke ise viraan raha
dharti ki chaadar chhin chuka, abb chaand aur suraj maang raha
yeh tere bando ke afsaane, ho teri duniya kaisi tu jaane
jivan path pe nikle do pal ko hum toh apne ji ko behlaane
apna kya hai hum toh anjaane, o teri duniya kaisi tu jaane
ulti ganga jo bahe, jogi chup kaise rahe
abb devta kuchh bhi nahi, maanwata kuchh bhi nahi
yaaro se yaari gayi, wo dildaari gayi
aisi chhaaya tale hum diwaane bhale
kaisa pyaar kaha ki dosti, kaisa rishta naata
tere hote insaan tera shaitaan huwa o daata
par yeh kyun keh rahe hum diwaane, teri duniya kaisi tu jaane
jivan path pe nikle do pal ko hum toh apne ji ko behlaane
apna kya hai hum toh anjaane, o teri duniya kaisi tu jaane
jab dil me paraaya dard uthe, duje ke tu kaam aaye yaara
tab gyan mila jivan tujhko chaandi sone se bhi pyaara
warna dhan daulat chij hai kya, kahe miya nazira ka iktara
sab thaat pada raha jaayega jab laad chalega banjaara
kaam aayenge yahin pyaar ke najraane, ho teri duniya kaisi tu jaane
jivan path pe nikle do pal ko hum toh apne ji ko behlaane
apna kya hai hum toh anjaane, o teri duniya kaisi tu jaane