Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Tujhako Furasat Se Vidhaata Ne Racha
|
Mukesh Chand Mathur, Hemlata | |||||
Aarohi (1965) | |||||||
tujhko fursat se vidhaata ne racha
hriday tujhko kya diya hai raam ne
chaand chaahe mujhse mukhda pher le
tu rahe baithi nazar ke saamne
tujhko fursat se vidhaata ne racha
chaand to chhaaya hai tere rang ki
shayaron ki daad pa kar tan gaya
jismhir tha tune apne rup ko
wo tera darpan hi chanda ban gaya
bin pilaaye hi mujhko bahka diya
teri ankhiyon ke gulaabi jaam ne
tujhko fursat se vidhaata ne racha
tum ho priyatam mere man ke devta
main tumhaare in charan ki dhul hoon
tum ho puja tum meri aaradhna
main tumhaari sadhna ka phool hoon
gir nahin sakta koyi majhdhaar mein
tum badho jiski kalaayi thaamne
tujhko fursat se vidhaata ne racha