Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Tujh Pe Marta Hu
|
Chhote Majid Shola | Raju Khan, Kalyan Sen | ||||
Woh Ladki Yaad Aati Hai (Album) (0) | Anwar Farrukhabadi | Ghazals | |||||
tujh pe marta hu ye kahne to nahi aaya hu
main tere shahar me rahne to nahi aaya hu
tujh pe marta hu ye kahne to nahi aaya hu
main tere shahar me rahne to nahi aaya hu
tujh pe marta
jab se dil aur kahin jod liya hai tune
aur mere pyar se munh mod liya hai tune
mujhse ye rishta bhi ab tod liya hai tune
phir bhi mehbub se shikwa mera dastur nahi
teri badnami mere pyar ko manjur nahi
tu hi mujrim hai ye kahne ko nahi aaya hu
main tere shahar me rahne to nahi aaya hu
tujh pe marta
bewafa meri mohabbat ki nishani tu hai
jo mere dil pe likhi hai wo kahani tu hai
meri taqdeer ki ek sham suhani tu hai
lekin ab mujhko tamannaye mulakat nahi
teri najro me bhi wo pyar ke jajbaat nahi
main bhi jajbaar me bahne to nahi aaya hu
main tere shahar me rahne to nahi aaya hu
tujh pe marta
tune har vada bhulaya to koi baat nahi
mujhse hath apna chhudaya to koi baat nahi
dil kahin aur lagaya to koi baat nahi
is naye pyar ka aagaz mubarak ho tujhe
bewafayi ka ye andaz mubarak ho tujhe
gham judai ka main sahne to nahi aaya hu
main tere shahar me rahne to nahi aaya hu
tujh pe marta
yaad rakhna ae sitamgar teri pahchan hu main
ek sulagti huyi tahrir ka unwan hu main
ab tere shahar me ek raat ka mehman hu main
lab hai bekabu mere harfe shikayat ke liye
tu bhi meri tarah tarsegi mohabbat ke liye
ab na aaunga ye kahne to nahi aaya hu
main tere shahar me rahne to nahi aaya hu
tujh pe marta hu ye kahne to nahi aaya hu
main tere shahar me rahne to nahi aaya hu
main tere shahar me rahne to nahi aaya hu