Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Tu Mera Din Hai Main Teri Raat Aaja
|
Mukesh Chand Mathur, Suman Kalyanpur | Shankar Jaikishan | ||||
Sanyasi (1975) | M G Hashmat | Party Songs | |||||
tu mera din hai mai teri rat aaja
har sham teri meri hogi mulakat aaja
tu mera din hai mai teri rat aaja
har sham teri meri hogi mulakat aaja
sagar mahal hai sagar kinare
bijli bujhake karungi ishare
najre bachaker upar bulaungi
ayine me tumse ankhe milaungi
usme nagine jaisa lagega shabab
bas usi jagah bas usi jagah hogi mulakat
chor ko hi dekh chor ghabra gaye
aage age tum piche hum aa gaye
jiski talas thi use paa gaye
choro ka mal sab chor kha gaye
choro ka mal sab chor kha gaye
choro ka mal sab chor kha gaye
tu mera din hai mai teri rat aaja
har sham teri meri hogi mulakat aaja
parwat ki choti pe pathar ki kothi hai
waha teri yaad me ek panah roti hai
kahne ko ansu hai samjho to moti hai
jab gharwalo ki aag lagi hoti hai
khidki se dekhti hu taaro ki barat
bas usi jagah bas usi jagah hogi mulakat
acha hua heere moti bahar aa gaye
kisne kamaya or kaun kha gaye
dono ke nasib aaj takra gaye
choro ka mal sab chor kha gaye
choro ka mal sab chor kha gaye
choro ka mal sab chor kha gaye
tu mera din hai mai teri rat aaja
har sham teri meri hogi mulakat aaja
karlo wada sath chaloge
naye daur me sair karoge
makhamal ke pardo ke saye me chupke
ayega maja tere pyar me lutke
honto se pilaungi mai pyar ki sarab
bas usi jagah bas usi jagah hogi mulakat
dekha tera rup sab dokha kha gaye
ankho ke isare hame samjha gaye
nahle pe dahla banke hum aa gaye
choro ka mal sab chor kha gaye
choro ka mal sab chor kha gaye
choro ka mal sab chor kha gaye