Lyrics of Tod De Tu Is Bandhan Ko - तोड़ दे तू इस बंधन को
tod de tod de
tod de tu is bandhan ko
tod de tu is bandhan ko
ye farz nahi dastur nahi
tod de tu is bandhan ko
ye farz nahi dastur nahi
teri maang me laga hain jo
ek daag hain wo sindur nahi
tod de tu is bandhan ko
baandh le baandh le
baandh le man ko is bandhan me
baandh le man ko is bandhan me
farz hain ye dastur hain ye
kaun mita sakta hain isko
rang nahi sindur hain ye
baandh le man ko is bandhan me
tod de tod de
baandh le man ko is bandhan me
jaisa bhi hain jhuth se
ye accha hain
jaisa bhi hain jhuth se
ye accha hain
mansutar nahi ye dhaga kaccha hain
kacche dhage se bandh jaye tu itni majbur nahi
tod de tu is bandhan ko
tod de tod de
is dhage me bandhi hazaaro kasme hain
is dhage me bandhi hazaaro kasme hain
tut nahi sakti ye jag ki rasme hain
tujh par log hase taane de
kya tujhko manjur hain ye
baandh le man ko is bandhan me
farz hain ye dastur hain ye
kaun mita sakta hain isko
rang nahi sindur hain ye
baandh le man ko is bandhan me
tod de tod de
byah nahi ye dhokha hain
par ab kya ho sakta hian
mujhko kuch bhi yaad nahi
phir bhi tu aazad nahi
ye sab kisne dekha hain
sakhshi bhagya ki rekha hain
ye rekha mit sakti hain
isme itni shakti hain
kaun hain tu, kaun hain tu
kya tera hain, tera jivan mera hain
main teri na manungi
tujhe main bujdil janungi
is dukh se dil chur hain ye
farz hain ye dastur hain ye
kaun mita sakta hain isko
rang nahi sindur hain ye
baandh le man ko is bandhan me
farz hain ye dastur hain ye
kaun mita sakta hain isko
rang nahi sindur hain ye
baandh le man ko is bandhan me