Lyrics of Titli - I - तितली
kaisa ye kaarvaan, kaise hai raaste
khwabo ko sach karne ke liye titli ne sare rang bech diye

saara sukun hai khoya khushiyo ki chahat me
dil ye seham saa jaaye chhoti si aahat me
kuch bhi samajh na aaye jaana hai kaha
khwabo ko sach karne ke liye titli ne sare rang bech diye
khwabo ko sach karne ke liye titli ne sare rang bech diye
alfaaz saanso me hi aake bikharte jaaye
khamoshiyo me bole ye aankhe bezubaan
parchhaiya hai saathi, chalta hi jaaye raahi
koi na dekhe ab toh zakhmo ke nishaan
kuch bhi samajh na aaye jaana hai kaha
khwabo ko sach karne ke liye titli ne sare rang bech diye
khwabo ko sach karne ke liye titli ne sare rang bech diye
na roshni hai koi, aashaye khoyi khoyi
tuta futa hai ye ummido ka jahaan
na bekarari koi, bandish rihaai koi
ab toh nigaaho me na koi intezaar