Lyrics of The House Next Door Theme - द हाउस नेक्स्ट डोर थीम
kai sadiyon pehli purani baat hai
ke jab se aasman zameen ka saath hai
aur yeh pagal hawaa sansanati hui
dhundi thi yaha kaha mera pyar hai
ik din upar wala raja soch raha tha
mai kuch banau fir usne parbat banaye
socha thodi baraf bicha du baraf se jo pighle
pighal jharne jhare ke jharno se wahi, khil khilati nadi
ye nadhiyo se bana jo sagar aaj hai
kai sadiyon sadiyon purani baat hai
ab bhi soche upar wala kaise chalega ye sansar
khada rahega kon zameen pe kon banega palanhaar
fir dharti ka kiya shiringar
ped banaye sundar pehredaar
dekh ke ye shiringar ho gaya usko pyar
bana dale jungle, jungle hi jungle yaar
fir to lagne lage fal, fal pe pakne lage fal
ye nadiyo ki rawani piyega kon pani
koi to ruh ho, koi ho zindgani
ke ab bachcha koi kahi to muskuraye
uski tasveer jaise puri hone lagi
magar uski tamanna adhuri hi rahi
wo jadu se bhare jo beej uske pas the
usne faila diye zameen pe jo unme khaas the
wo aise ped hai jinme bhagwan hai
jo dete pyar hai, jo lete pyar hai
unhe bachcha koi jo jaake gale lagaye
jo sapna dekhe wo, wo sapna sach ho jaye