Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Teri Nazar Ki Chabi Ne Khola
|
Mohammed Rafi | Nirmal Kumar | ||||
Lal Nishan (1959) | Anand Bakshi | ||||||
teri nazar ki chabi ne khola
mere dil ka tala
o zalim haye maar dala
jano jigar ka purja purja
ho gaya dhila dhala
o zalim haye mar dala
mai bhi hu shikari purana
par tera hai khub nishana
tirchhi nazro ka ek tir khake
maine ustad hai tujhko mana
zulfo ka fanda yu dala
ke zalim haye mar dala
teri nazar ki chabi ne khola
mere dil ka tala
o zalim haye maar dala
khol ke mere dil ki tijori
tune kar li mohabbat ki chori
de gayi bato bato me jhansa
badi nikli tu chalak chhori
yaro ka nikla diwala
ke zalim haye mar dala
teri nazar ki chabi ne khola
mere dil ka tala
o zalim haye maar dala
teri aankho se lapka jo shola
inme fat gaya dil ka gola
aag bujh na saki mere dil ki
maine ashko ka nalka bhi khola
o kar daala gadabad ghotaala
ke zalim haye mar dala
teri nazar ki chabi ne khola
mere dil ka tala
o zalim haye maar dala