Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Tere Sitam Ki Dastan Ham Na Juban Pe Layenge
|
Mubarak Begum | Sadat Khan | ||||
Beraham Daku (1959) | Saba Afghani | ||||||
tere sitam ki dastan
ham na juba pe layenge
yaad jab aayegi teri
yaad jab aayegi teri
gam ko gale lagayenge
tere sitam ki dastan
jane tujhe ye kya hua
gam diya pyar ne tujhe
aankho ki nind chhin ke
dil ka karaar lut ke
tune hame bhula diya
tune hame bhula diya
ham na tujhe bhulayenge
tere sitam ki dastan
chedenge ham na bhulkar
dil ke sikast ke saaj ko
duniya na payegi kabhi
teri jafa ke raaj ko
jitne badhenge ranjo gham
jitne badhenge ranjo gham
uthna ham muskurayenge
tere sitam ki dastan
mana ki ab nasib me
aate nahi hai aas hai
fir bhi hame teri kasam
apni wafa pe naaj hai
rota rahega dil magar
rota rahega dil magar
aanshu na behne payenge
tere sitam ki dastan