Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Tere Pyar Ko Is Tarah Se Bhulana
|
Mukesh Chand Mathur | Roshan | ||||
Maine Jeena Seekh Liya (1959) | Rahil Gorakhpuri | Classical Songs, Sad Songs | |||||
tere pyaar ko iss tarahe se bhulana
na dil chahta hai na hum chahte hain
jo such tha usse ek fasana banana
na dil chahta hai na hum chahte hain
woh masoom soorat woh bholi nigaahein
rahengi sada dil mein aabad hokar
na poori huyee jo usee aarzoo mein
milegaa hamein chain barbaad hokar
ke ujdi huyee zindagi ko basaanaa
na dil chahta hai na hum chahte hain
tere pyaar ko iss tarah se bhulana
na dil chahta hai na hum chahte hain
samajh mein na aayaa ke har ek khushi se
ye dil aaj bezaar kyun ho gaya hai
tere gam mein behte huye aansoon se
na jaane hamein pyaar kyun ho gaya hai
ke bhoole se bhi ab kabhi muskurana
na dil chahta hai na hum chahte hain
tere pyaar ko iss tarah se bhulana
na dil chaahta hai na hum chahte hain
jo such tha usse ek fasana banana
na dil chahta hai na hum chahte hain