Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Tere Banenge Bighde Kaam
|
Manna Dey | Roshan | ||||
Aangan (1959) | Pandit Indra | ||||||
tere banenge bigade kaam
ho sun bhai aatma ram
tu kar le charo dham
ho sun bhai aatma ram
idhar hain ganga udhar himalay
bich me badrinath
bolo bhai badrinath ki jai
dharm arth aur kam moksh
charo phal inke sath ho
tere banenge bigade kaam
tere banenge bigade kaam
ho sun bhai aatma raam
tu kar le charo dham
ho sun bhai aatma raam
jo koi pave jagannath ka
jutha bhat prsaad ho
jutha bhat prsaad ho
bolo bhai jagrnath ki jai
chla jaye baikunth ko sidha
koi na pakde haath ho
koi na pakde haath ho
tu bhaj le radhe shyam
tu bhaj le radhe shyam
ho sun bhai aatma ram
dakshin desh me rame rameshvar
mandir kham hajar ho
mandir kham hajar ho
bolo bhai shiv shankar ki jai
visvanath visamber shankar
bhaje to beda par ho
bhaje to beda par ho
lekin charno ko tham
ho lekin charno ko tham
ho sun bhai aatma ram
sone ki ye puri dwarka
manwa anand badhaye ho
manwa anand badhaye ho
bolo bhai krishanchndr ki jai
baanjh hari ho daadi
pota god khelaye ho
pota god khelaye ho
kul badhe amar ho naam
kul badhe amar ho naam
ho sun bhai aatma ram
tere banenege bigade kaam
ho sun bhai aatma ram
ram ram ji ram
ho sun bhai aatma ram