Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Tere Bachapan Ko Javaani Ki Duaa Deti Hun
|
Lata Mangeshkar | Jaidev | Waheeda Rehman, Sunil Dutt, Nirupa Roy | |||
Mujhe Jeene Do (1963) | Sahir Ludhianvi | Lori Songs | |||||
tere bachpan ko javani ki dua deti hu
tere bachpan ko javani ki dua deti hu
aur dua de ke pareshan si ho jati hu
mere munne mere gulzaar ke nanhe paudhe
tujhko haalat ki aandhi se bachane ke liye
aaj mai pyar ke aanchal me chhupa leti hu
kal ye kamazor sahara bhi na hasil hoga
kal ye kamazor sahara bhi na hasil hoga
kal tujhe kanto bhari raaho pe chalna hoga
zindgani ki kadi dhup me jalna hoga
tere bachapan ko javani ki dua deti hu
aur dua de ke pareshan si ho jati hu
tere mathe pe sharafat ki koi mohar nahi
chand hote hain mohabbat ke sukun hi kya hai
jaise mao ki mohabbat ka koi mol nahi
jaise mao ki mohabbat ka koi mol nahi
mere masuum farishte tu abhi kya jane
tujhko kis kis ke gunaho ki saza milni hai
din aur dharm ke mare hue insano ki
jo nazar milani hai tujhako vo khafa milni hai
tere bachapan ko javani ki dua deti hu
aur dua de ke pareshan si ho jati hu
bediya leke lapakta hua kanuun ka hath
bediya leke lapakta hua kanuun ka hath
tere ma-bap se jab tujhko mili ye saugat
kaun laega tere vaste khushiyo ki barat
mere bachche tere anjam se ji darta hai
teri dushman hi na sabit ho javani teri
kanp jati hai jise soch ke mamta meri
usi anjam ko pahuche na kahani teri
tere bachapan ko javani ki dua deti hu
aur dua de ke pareshan si ho jati hu
or dua de ke pareshan si ho jati hu