Lyrics of Teraa Muskurana, Phir Haske Paas Aana - तेरा मुस्कुराना, फिर हँस के पास आना
tera muskurana phir has ke paas aana
mujhe apna nama batana phir pal me gum ho jana
ehsas hai abb bhi uss pehali bar ka
kaisa yeh nasha hai tere pyar ka
dil se dil mile the jaise do phul khile the
tab maine kuchh kaha tha tumhare hoth sile the
mujhe yad hai woh lamha intejar ka
kaisa yeh nasha hai tere pyar ka
chand chehra hai tera, raat julfe hai teri
yeh hawa teri khushbu hai
yeh samandar ki lehre tere hasne ki dhun hai
duniya me bas tu hai
tu paas hai toh saans hai, khazana hai dil ke karar ka
kaisa yeh nasha hai tere pyar ka
kaisa yeh nasha hai tere pyar ka
raat gehri hai lekin teri aankho ke aage
bas sham si ye lagti hai
din suhana agar hai toh tera naam le ke
tere pyar se fiza mehkati hai
aage hashar kya hoga agar asar hai yeh ek didar ka
kaisa yeh nasha hai tere pyar ka
tera muskurana phir has ke paas aana
mujhe apna nama batana phir pal me gum ho jana
kaisa yeh nasha hai tere pyar ka
kaisa yeh nasha hai tere pyar ka
tere pyar ka, tere pyar ka