Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Tera Jag Hai Tu Hi Jane
|
Shabbir Kumar | Hari Arjun | ||||
Dulhan Har Raat Ki (1985) | Gauhar Kanpuri | ||||||
mandir masjid gurudwaaro me
chain se tu kyo sota hai
ek din tu bhi dekh le aake
duniya me kya hota hai
tera jag hai tu hi jane
ho tera jag hai tu hi jane
kya hoga anjaam radha meera
mariyam seeta kyo hoti hai nilam
tera jag hai tu hi jane
tera jag hai tu hi jane
bane hai matalan ke bande
daulat ke liye sab jinda hai
bane hai matalan ke bande
daulat ke liye sab jinda hai
khud karte hai pap ke dhandhe
kahne ke liye sharminda hai
jhuth lage to dekh le aake
jhuth lage to dekh le aake
tu bhi hai badanam
tera jag hai tu hi jane
tera jag hai tu hi jane
gali gali kyo duniya me
masum ki ijjata lutati hai
gali gali kyo duniya me
masum ki ijjata lutati hai
jo beti bahan hai maa hai
kyo aaj wo aurat lutati hai
tere insaa jitane unche
jitne unche tere insaa
utane niche kaam
tera jag hai tu hi jane
tera jag hai tu hi jane
dharm ko hamne kho hi diya
bhagwan ko ham kya maanege
dharm ko hamne kho hi diya
bhagwan ko ham kya maanege
bech diya geeta ko imaan ko
ham kya janege
kaun hai doshi kaumhai papi
kaun hai papi kaun hai doshi
kisko de iljam
tera jag hai tu hi jane
tera jag hai tu hi jane
kya hoga anjaam radha meera
mariyam seeta kyo hoti hai nilam
tera jag hai tu hi jane
tera jag hai tu hi jane