Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Tera Fitoor Jab Se Chadh Gaya Re
|
Arijit Singh | Himesh Reshammiya | ||||
Genius (2018) | Kumaar | Romantic Songs | |||||
tera fitur jab se chadh gaya re
tera fitur jab se chadh gaya re
ishq jo zara sa tha wo badh gaya re
tera fitur jab se chadh gaya re
tu jo mere sang chalne lage
to meri rahein dhadakne lage
dekhun jo na ik pal mai tumhein
to meri bahein tadapne lage
ishq jo zara sa tha woh badh gaya re
tera fitur jab se chadh gaya re
tera fitur jab se chadh gaya re
hathon se lakirein yehi kehti hai
ki zindagi jo hai meri tujhi me ab rehti hai
labon pe likhi hai mere dil ki khwahish
lafzon mein kaise mai bataun
ik tujhko hi pane ki khatir
sabse juda mai ho jaun
kal tak maine jo bhi khwab the dekhe
tujhme wo dikhne lage
ishq jo zara sa tha wo badh gaya re
tera fitur jab se chadh gaya re
tera fitur jab se chadh gaya re
sanson ke kinare bade tanha the
tu aa ke inhe chhu le bas
yehi to mere arman the
sari duniya se mujhe kya lena hai
bas tujhko hi pehchanu
mujhko na meri ab khabar ho koi
tujhse hi khudko mai janu
ratein nahi katti bechain se hoke
din bhi guzarne lage
ishq jo zara sa tha wo badh gaya re
tera fitur jab se chadh gaya re
tera fitur jab se chadh gaya re