Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Tasveer Nayan Me Thi Jinki
|
Asha Bhosle, Mohammed Rafi | Chitragupt | ||||
Raj Kanya (1955) | Gopal Singh Nepali | ||||||
tasveer nayan me thi jinki
wo aasu bankar bikhar gaye
pahchan hui anjano me
jab pyar hua to bichad gaye
cheda aakar ke baharo ne
jo geet yaha wo geet waha
sangeet bani nas nas me baji
jo preet yaha wo preet waha
ulfat ne hame hasne ko kaha
jab hasne lage to ujad gaye
pahchan hui anjano me
jab pyar hua to bichad gaye
kal ka sindur abhi sar par
par sawariya ka pata nahi
lakho taro ki dunia me
apni dunia ka pata nahi
najro me jinko bandha tha
bhigi palko se utar gaye
pahchan hui anjano me
jab pyar hua to bichad gaye
maujo me machalke khushiyo ka
rangin bulbula fut gaya
samne rahe do dil machle
wo aaj silsila tut gaya
tum aansu liye idhar aaye
wo sarbat lekar udhar gaye