Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Taro Ki Nagri Se Chandaa Ne
|
Suraiya | Anil Biswas | Suraiya | |||
Waris (1954) | Qamar Jalalabadi | Lori Songs | |||||
taro ki nagri se chanda ne ek din
dharti pe aane ki thani sun mere munna kahani
kaliyo ne pahne sabnam ke gahne
lahro me aayi rawani sun mere munna kahani
kab se khadi thi vyakul chakori
naina bichaye huye path me
dharti pe utra raja gagan ka
chupke se kirno ke rath me
aaye piya pyare pyasi ke dware
aaye piya pyare pyasi ke dware
fir bhi chakori na jane sun mere munna kahani
kahti thi duniya kahti thi duniya
ho na sakega chanda chakori ka mel
pal bhar me dekho ruthi nindiya
tutega sapno ka gher tutega sapno ka gher
itne me chanda badhkar yu bola
itne me chanda badhkar yu bola
mai raja tu meri rani sun mere munna kahani
lekin ye dunia lekin ye dunia prem ki berain
haye laga ke najariya haye laga ke najariya
aaye the ek din waise hi ek din
sajni se bichade sawariya haye sajni se bichade sawariya
ab tak khadi hai path par chakori
ab tak khadi hai path par chakori
lekar piya ki nishani jab tak na wapis aayega chanda
jab tak na wapis aayega chanda puri na hogi kahani
o muna puri na hogi kahani soja puri na hogi kahani
soja puri na hogi kahani