Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Tarasti Hai Deedar Ko
|
Salma Agha, Anwar | Bappi Lahiri | ||||
Salma (1985) | Hasan Kamaal | ||||||
tarsati hai didar ko meri aankhe
tarsati hai didar ko meri aankhe
tumhe rukh se parda uthana padega
nahi dil ko manjur duri tumhaari
tumhe ab mere paas aana padega
aana padega
nahi husn gustakh najro ka aadi
nahi husn gustakh najro ka aadi
nigahon ko pahale jhukana padega
bahut shokh hai dil ki dhadkan tumhari
adab apne dil ko sikhana padega
sikhana padega
tumhe rukh se parda uthana padega
nigahon ko pahale jhukana padega
bijali tufan abhi dil mein chhupaye rakhiye
aag sine mein agar hai to dabaye rakhiye
muft badnaam na ho jaye kahani apni
ishk ko apne jamane se bachaye rakhiye
khuda ke liye jhutha vada na kije
khuda ke liye jhutha vada na kije
ye vada kisi din nibhana padega
khuda ke liye jhutha vada na kije
ye vada kisi din nibhana padega
nibhana padega
tumhe rukh se parda uthana padega
nigahon ko pahale jhukana padega