Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Tamasha Ban Ke Aaye Hai
|
Uttara Kelkar | Bappi Lahiri | ||||
Tarzan (1985) | Anjaan | ||||||
tamasha ban ke aaye hai tamasha dekhiye
karishma ye kabhi dekha na hoga dekhiye
tamasha ban ke aaye hai tamasha dekhiye
karishma ye kabhi dekha na hoga dekhiye
mehrbaano kadardano mehrbaano kadardano
naye is daur me logo ne sikhe hai hunar kaise
bana de aadmi ko aadmi ab jaanwar kaise
naye is daur me logo ne sikhe hai hunar kaise
bana de aadmi ko aadmi ab jaanwar kaise
hame kaise nachata hai ye paisa dekhiye
karishma ye kabhi dekha na hoga dekhiye
mehrbaano kadardano mehrbaano kadardano
lagake jaan ki baazi jo har pal maut se khele
wo ye kartab dikhane ko yaha kya kya sitam jhele
lagake jaan ki baazi jo har pal maut se khele
wo ye kartab dikhane ko yaha kya kya sitam jhele
sitam ka hai ye karobaar aisa dekhiye
karishma ye kabhi dekha na hoga dekhiye
mehrbaano kadardano mehrbaano kadardano
bagaawat bezubano ki nigaho me utar aayi
hame dar hai tamasha khud na ban jaye tamashayi
badal jaye kaha inka irada dekhiye
karishma ye kabhi dekha na hoga dekhiye
mehrbaano kadardano mehrbaano kadardano