Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Surmai Shaam Is Tarah Aaye
|
Suresh Wadkar | Hridaynath Mangeshkar | Vinod Khanna, Dimple Kapadia | |||
Lekin (1991) | Gulzar | ||||||
surmayi sham is tarah aaye
surmayi sham is tarah aaye
saans lete hai jis tarah saaye
surmayi sham is tarah aaye
saans lete hai jis tarah saaye
surmayi sham
koi aahat nahi badan ki kahi
phir bhi lagata hai tu yahi hai kahi
koi aahat nahi badan ki kahi
phir bhi lagata hai tu yahi hai kahi
wakt jata sunayi deta hai
tera saya dikhayi deta hai
jaise khushbu nazar se chhu jaye
jaise khushbu nazar se chhu jaye
saans lete hai jis tarah saaye
surmayi shaam
din ka jo bhi paher guzarata hai
koi ehsan sa utarata hai
din ka jo bhi paher guzarata hai
koi ehsan sa utarata hai
wakt ke panv dekhta hu main
roz ye chhanv dekhta hu main
aaye jaise koi khayal aaye
aaye jaise koi khayal aaye
saans lete hai jis tarah saaye
surmayi sham is tarah aaye
saans lete hai jis tarah saaye
surmayi sham
lyrics typed by :- ruchita parab.