The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Snap Mukhada Artist / Movie Music By / Lyricist Picturized on / Genre
0
Suraj Se Aankhe Mila
0
Usha Mangeshkar, Asha Bhosle, Kishore Kumar, Mohammed Rafi Rajesh Roshan Rekha
Muqaddar (1978) Anjaan
Lyrics of Suraj Se Aankhe Mila - सूरज से आँखे मिला

suraj se aankhe mila taro ko dharti pe la

ye dharti teri hai ye sapne tere hai aur sab apne tere hai
tu mehanat ki jalti mashale jala sadiyo se soya mukaddar jaga
hey suraj se aankhe mila taro ko dharti pe la
suraj se aankhe mila taro ko dharti pe la
ye dharti teri hai ye sapne tere hai aur sab apne tere hai
tu mehanat ki jalti mashale jala sadiyo se soya mukaddar jaga

pyar ki lo jaga de re har andhera jala de
duriya ye dilo ki dil mila ke mita de
rang ude kahi deep jale aayi holi diwali sath
are aaye to aake na jaye sathi rang bhari aisi raat

kanto me kaliya khila phulo se gulshan saja

are do din ki hasti me dil jhume masti me
aur sapno ki basti me tu mehnat ki jalti mashale jala
sadiyo se soya mukaddar jaga

rat din ho ye mele re dil na tarse akele
dil tera jisko chahe bhadke baho me le le
ae sanso se bandh le sanso ki dori hatho me leke hath
jati hai jaan to jaye khushi se chhute kabhi na ye sath

baho ke saye me aa sharmake aankhe mila
baho ke saye me aa sharmake aankhe mila
phir payal chhankegi phir chudi khankegi
o phir bindiya chamkegi tu mehanat ki jalti mashale jala
sadiyo se soya mukaddar jaga

barse tan ka pasina re banke sawan mahina
katra ban jaye moti jarra jarra nagina
ae aaj jaha teri raho me sathi ude gamo ki dhul
phul khilenge wahi kal jhumke mast baharo ke phul

ae suraj se aankhe mila taro ko dharti pe la