Lyrics of Suraj Ki Aag Me - सूरज की आग में नहायेंगे हम
suraj ki aag mein nahayenge hum
samandaro mein ghar basayenge hum
baadal ki naap, taaro ke gaav behte behte jaana hai
din ho ya raat bas tere saath udte udte jaana hai
chhodo jamine chhodo aasma, chhodo jamine chhodo aasma
suraj ki aag mein nahayenge hum
samandaro mein ghar basayenge hum
tute taaro ke ghar jaaye, thodi si ummide laaye
pariyo ke sang chupke chupke aasmaan ke rang churaye
chhand se uska dhag baandh le
jannat se ek baag maang le aur chale
chhodo jamine chhodo aasma, chhodo jamine chhodo aasma
aur kahi bhi dharti hogi, pyar kisi se karti hogi
uska bhi ek suraj hoga, chaand wo dekhe marti hogi
behte behte jaaye waha chal
aaj yaha ho kal ho kahi kal aao chale