Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Suno Sunate Hain Tumko Hum Ek Dukh Bhari Kahani
|
Usha Mangeshkar, Asha Bhosle | Salil Chowdhury | ||||
Jeevan Jyoti (1976) | Anand Bakshi | Religious Songs | |||||
suno suno suno suno
suno sunate hain tumko hum ek dukh bhari kahani
suno sunate hain tumko hum ek dukh bhari kahani
man tadpe kahte sunte
aankho se barse pani
suno sunate hain tumko hum ek dukh bhari kahani
ravan ne kiya siya haran to
to ram ne phunki lanka
ram ne phunki lanka
mita na paye raghuwar re
dekho apne man ki shanka
apne man ki shanka
insaano ki baat hain kya
bhagwan ne dhokha khaya
logo ki baatein sunkar
biwi par dosh lagaya
ram se kaisi bhul hui
kaise hui nadani
suno sunate hain tumko hum ek dukh bhari kahani
ram ko jab vanvaas mila
sita ne sath na chhoda
sita ne sath na chhoda
sita chali akeli van me
ram ne nata toda
ram ne nata toda
nagar ka bacha bacha sita ki kismat pe roya
van ka patta patta sita ki halat pe roya
royi bhatki bhukhi pyasi wo mahalo ki rani
suno sunate hain tumko hum ek dukh bhari kahani
sita par visvaas kiya
par ram ne der lagaye
ram ne der lagaye
sita laaj ke mare
is dharti ke bich samaye
dharti ke bich samaye
is jag me hota aaya hain
aisa hi anyaay
is jag me hota aaya hain
aisa hi anyaay
abla nari bechari yu hi thukrai jaye
yug beete par aaj bhi
jag ki wahi hain reet purani