Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Sunate Hai Sitare Raat Bhar Sabko Ye Afsana
|
Asha Bhosle | Daan Singh | ||||
My Love (1970) | Anand Bakshi | Sad Songs | |||||
sunate hai sitare raat bhar
sunate hai sitare raat bhar
sabko ye afsana
kahin pe ek shama thi
kahin tha ek parwana
sunate hai sitare raat bhar
mile tanhayi me dono
huyi unki mulakate
mile tanhayi me dono
huyi unki mulakate
huye arman kuch pure
huyi kuch pyar ki baate
diya ek dusre ko muskura ke
dil ka nazrana
sunate hai sitare raat bhar
zamane ne mohabbat ko
magar majbur kar dala
zamane ne mohabbat ko
magar majbur kar dala
judai ne unhe ek dusre se
dur kar dala haye
bahut royi shama
roya bahut is gam me parwana
sunate hai sitare raat bhar
mohabbat me yu parwane ne
jal kar jaan fida kar di
mohabbat me yu parwane ne
jal kar jaan fida kar di
shama ne bhi tadapkar
pyar ki kimat ada kar di
dono mit gaye lekin
mita na dil ka fasana haye
sunate hai sitare raat bhar
sunate hai sitare raat bhar