The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Snap Mukhada Artist / Movie Music By / Lyricist Picturized on / Genre
0
Suna Tha Ki Woh Aayenge Anjuman Me
0
Jagjit Singh, Chitra Singh Jagjit Singh
Live At Royal Albert Hall (Jagjit Singh) (0) Qamar Jalalabadi
Lyrics of Suna Tha Ki Woh Aayenge Anjuman Me - सुना था कि वो आयेंगे अंजुमन में

suna tha ki wo aayenge anjuman me
suna tha ki wo aayenge anjuman me
suna tha ki unse mulaqaat hogi
suna tha ki wo aayenge anjuman me
suna tha ki unse mulaqaat hogi
hume kya pata tha, hume kya khabar thi
na ye baat hogi, na wo baat hogi
hume kya pata tha, hume kya khabar thi
na ye baat hogi, na wo baat hogi
suna tha ki wo aayenge anjuman me

main kahta hu is dil ko, dil me basa lo
main kahta hu is dil ko, dil me basa lo
wo kahte hain humse nigaahe mila lo
main kahta hu is dil ko, dil me basa lo
wo kahte hai humse nigaahe mila lo
nigaahon ko maalum kya dil ki haalat
nigaahon ko maalum kya dil ki haalat
nigaahon nigaahon me kya baat hogi
nigaahon ko maalum kya dil ki haalat
nigaahon nigaahon me kya baat hogi
suna tha ki wo aayenge anjuman me

hume khinch kar ishq laaya hai tera
tere dar pe humne lagaya hai dera
hume khinch kar ishq laaya hai tera
tere dar pe humne lagaya hai dera
hume hoga jab tak na deedar tera
hume hoga jab tak na deedar tera
yahi subah hogi, yahi raat hogi
hume hoga jab tak na deedar tera
yahi subah hogi, yahi raat hogi
suna tha ki wo aayenge anjuman me

mohabbat ka jab humne chheda fasana
mohabbat ka jab humne chheda fasana
to gore se mukhde pe aaya pasina
mohabbat ka jab humne chheda fasana
to gore se mukhde pe aaya pasina
jo nikle the ghar se, to kya jaante the
jo nikle the ghar se, to kya jaante the
ke yu dhoop mein, aaj barsaat hogi
jo nikle the ghar se, to kya jaante the
ke yu dhoop mein, aaj barsaat hogi
suna tha ki wo aayenge anjuman me

khafa humse hoke wo baithe huye hain
raqibo me ghir ke wo baithe huye hain
khafa humse hoke wo baithe huye hain
raqibo me ghir ke wo baithe huye hain
na wo dekhte hain, na hum dekhte hain
na wo dekhte hain, na hum dekhte hain
yahan baat hogi to kya baat hogi
suna tha ki wo aayenge anjuman me
suna tha ki unse mulaqat hogi
hume kya pata tha, hume kya khabar thi
na ye baat hogi, na wo baat hogi
suna tha ki wo aayenge anjuman me
suna tha ki wo aayenge anjuman me