Lyrics of Suboo Ko Daur Mein - सुबू को दौर में
subu ko daur mein lao bahar ke din hai
hame sharab peelao bahar ke din hai
subu ko daur mein lao bahar ke din hai
hame sharab peelao bahar ke din hai
subu ko daur mein lao
ye kaam ain ibadat hai, mausame gul mein
ye kaam ain ibadat hai, mausame gul mein
hame gale se lagao bahar ke din hai
hame sharab peelao bahar ke din hai
subu ko daur mein lao
ye aihtyat aur takalluf bhi theek hai mana
ye aihtyat aur takalluf bhi theek hai mana
magar ye bhol na jao bahar ke din hai
hame sharab peelao bahar ke din hai
subu ko daur mein lao
junu ka hukum suno aur amal karo us par
junu ka hukum suno aur amal karo us par
khirad ko aag lagao bahar ke din hai
hame sharab peelao bahar ke din hai
subu ko daur mein lao
thahr thahr ke na barso umad paro yakdam
thahr thahr ke na barso umad paro yakdam
sitam zarif ghatao bahar ke din hai
hame sharab peelao bahar ke din hai
subu ko daur mein lao
shikast-e-tauba ka kab aisa aayega mausam
shikast-e-tauba ka kab aisa aayega mausam
adam ko gher ke lao bahar ke din hai
hame sharab peelao bahar ke din hai
subu ko daur mein lao bahar ke din hai
hame sharab peelao bahar ke din hai
subu ko daur mein lao