Lyrics of Shehar Ke Dukandaron - शहर के दुकानदारों, कारोबार ए उल्फ़त में
shehar ke dukandaro, karobaar e ulfat mein

sud kya, diya kya hai
tum na jaan paaoge
shehar ke dukandaro, shehar ke dukandaro
dil ke daam kitne hain
khwab kitne mehnge hain
aur naqdejaa kya hai
tum na jaan paaoge
shehar ke dukandaro, shehar ke dukandaro
koi kaise milta hai, phool kaise khilta hai
aankh kaise jhukti hai, saans kaise rukti hai

kaise reh nikalti hai, kaise baate chalti hai

shouq ki zaba kya hai
tum na jaan paaoge
shehar ke dukandaro, shehar ke dukandaro
wasl ka suku kya hai, hijr ka junu kya hai
husn ka fusu kya hai, ishq ke daru kya hai

tum marije daanai, maslhat ke saidayi
tum marije daanai, maslhat ke saidayi
raahe gumrahan kya hai
tum na jaan paaoge
shehar ke dukandaro, shehar ke dukandaro
zakhm kaise phalte hain, daag kaise jalte hain
dard kaise hota hain, koi kaise rota hain

ashq kya hai, nalae kya
dasht kya hai, chhale kya
ashq kya hai, nalae kya
dasht kya hai, chhale kya
aah ka fuga kya hai
tum na jaan paaoge
shehar ke dukandaro, shehar ke dukandaro
jaanta hu main tumko, zaak e shaiyri bhi hai
shakhsiyat sajane mein, ik ye maahiri bhi hai

phir bhi harf chunte ho, sirf lafz sunte ho

inke darmiyaan kya hai