Lyrics of Shehar Haay Khub Kya Hai Yeh - शहर हाय खूब क्या है ये
shehar haye khub kya hai ye, shehar amrud ka hai ye
shehar hai ilahbad
shehar haye khub kya hai ye, shehar amrud ka hai ye
shehar hai ilahbad
ha yahi rahe the harivansh hamare
kya khub niraala ba ashk dulaare
kabhi to ganga ko chum le kabhi to jamuna ko chum le
sarswati aake jhum le waah waah waah waah
ai ye to amitabh ka chatpati chat ka
saath mei hai kalam davaat aur kitaab ka
chutkule hai yaha phir bhi gambhir hai
hai maja yahi to yaha ke sang sath ka
woh hai al parkke jo hai itna paak
ladate ladate yahi mare aazad
yeh to ilhabaad hai iski kya baat hai
yeh tamam sheharo ka taaj meri jaan
shehar haye khub kya hai ye, shehar amrud ka hai ye
shehar hai ilahbad
shehar haye khub kya hai ye, shehar amrud ka hai ye
shehar hai ilahbad
sangam ki naav se deta koyi taan hai
wo dekho samne aanand bhavan me shaam hai
pandit neharu hoke haan laal bahadur shastri
hindosta ke takht ke janme hai raaja yahi
rasik jano ka thaur hai ye, mahadevi ka maan hai ye
netraam ka chauraha aaj bhi isaki shan hai ye
albela yeh furtila magar ruk ruk ke chalta hai
mehanga na kharchila tanik thoda alag sa shehar hai ye