Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Sharmili Nigahe Kehti Hai
|
Asha Bhosle | Sachin Dev Burman | ||||
Society (1955) | Sahir Ludhianvi | ||||||
sharmili nigahe kahti hai
tum aaj kahin dil kho baithe
sharmili nigahe kahti hai
tum aaj kahin dil kho baithe
khud se bhi gaye hum se bhi gaye
kya jane ye kis ke ho baithe
khud se bhi gaye hum se bhi gaye
kya jane ye kis ke ho baithe
sharmili nigahe
ye uljhi late khamosh najar
deti hai chhupe tufa ki khabar
ye uljhi late khamosh najar
deti hai chhupe tufa ki khabar
tum aaj kahin hanste hanste
dil aur jigar ko ro baithe
dil aur jigar ko ro baithe
sharmili nigahe kahti hai
tum aaj kahin dil kho baithe
sharmili nigahe
dil apna nahi begana tha
pahlu se kabhi to jana tha
arey dil apna nahi begana tha
pahlu se kabhi to jana tha
ab iske liye haye
ab iske liye pachhtana kya
jo kho baithe to kho baithe
jo kho baithe to kho baithe
sharmili nigahe kahti hai
tum aaj kahin dil kho baithe
sharmili nigahe