Lyrics of Sharamaa Ke Yun Na Dekh Adaa Ke Maqaam Se - शरमा के यूँ न देख, अदा के मक़ाम से
sharama ke yun na dekh, ada ke maqaam se
sharama ke yun na dekh, ada ke maqaam se
ab baat badh chuki hai, nazar ke maqaam se
tasvir khich li hai, tere shokh husn ki
tasvir khich li hai, tere shokh husn ki
meri nazar ne aaj khata ke maqaam se
duniya ko bhul kar, meri baanho me jhul ja
aavaaz de raha hun, vafa ke maqaam se
dil ke muamale me, natize ki fiqr kya
aage hai ishq zurm-o-saza ke maqaam se
sharama ke yun na dekh, ada ke maqaam se