Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Shammaa Mein Taaqat Kahan Jo Ek Paravaane Mein Hai
|
Mohammed Rafi | Madan Mohan | Vyjayantimala, Nishi, Purnima, Ashok Kumar, Bharat Bhushan | |||
Naya Kanoon (1965) | Hasrat Jaipuri | ||||||
shamma me taqat kaha jo ek parwane me hai
ek parwane me hai
lutf jalne me nahi jal-jal ke mar jane me hai
jal jal ke mar jane me hai
chandani rato me aksar sochta rahta hu mai
kiski ye tasvir hai jo dil ke virane me hai
dil ke virane me hai
may ki masti to utar jati hai thodi der me
may ki masti to utar jati hai thodi der me
zindagi bhar ka nasha aankho ke paimano me hai
aankho ke paimano me hai
tu kahe to aasman ki dhajjiya kar du sanam
aaj ik aisi hi vahashat tere divane me hai
tere divane me hai
shamma me taqat kaha jo ek parwane me hai
ek parwane me hai