Lyrics of Shammaa Jalati Hai Jale - शम्मा जलती है जले
shamma jalati hai jale
shamma jalati hai jale, raat dhalati hai dhale
chhod ke aisi mahafil, ham nahi jaane vaale
haay haay haay ye nigaahe
haay haay haay ye nigaahe
kar de sharaabi jise chaahe jise chaahe
mai to, mai to bhul gaya raahe
raat hasi hai javan hai nazare, jhum chale ham dil ke sahare
raat hasi hai javan hai nazare, jhum chale ham dil ke sahare
aaj koi hamko na pukaare
rokti hai meri raahe may ki botal jaisi baahe
haay haay haay ye nigaahe
haay haay haay ye nigaahe
kar de sharaabi jise chaahe jise chaahe
mai to, mai to bhul gaya raahe
yu jo sama behka behka ho, ham bhi zara behke to maza ho
yu jo sama behka behka ho, ham bhi zara behke to maza ho
aankh piye aur dil ko nasha ho
ye ishare, ye adaye may ki botal jaisi baahe
haay haay haay ye nigaahe
haay haay haay ye nigaahe
kar de sharaabi jise chaahe jise chaahe
mai to, mai to bhul gaya raahe
haay haay haay haay
yaad nahi mera pyar yahi hai ya meri manjil aur kahi hai
yaad nahi mera pyar yahi hai ya meri manjil aur kahi hai
dekho mujhe kuch hosh nahi hai
toba toba, ye nigaahe may ki botal jaisi baahe
haay haay haay ye nigaahe
haay haay haay ye nigaahe
kar de sharaabi jise chaahe jise chaahe
mai to, mai to bhul gaya raahe