Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Sham Suhani Ho Nadi Ho Pani Ho
|
Mohammed Rafi | Sardul Kwatra | ||||
Kala Chor (1956) | Verma Malik | ||||||
sham suhani ho nadi ho pani ho
dil ki rani ho to phir beda par ho
chaudi peshani ho aankh mastani ho
chayi aasmani ho to phir beda par hai
sham suhani ho
bag bagiche ho bag bagiche ho biche galiche ho
naukar ho chakar ho aage ho piche ho
reshmi suit ho makhmali but ho
reshmi suit ho makhmali but ho
husn ka sahar ho pyar ki lut ho
hotel irani ho murga biryani ho
par daulat begani ho to fir beda par hai
sham suhani ho
aisi koi rat ho apni barat ho
dulhan ka sath ho pyar ki bat ho
heero ka taj ho kal nahi aaj ho
fansi pe sair karo pita ji ka raj ho
bagal me rani ho chahe wo kani ho
are jani pahchani ho to fir beda par hai
sham suhani ho
aisi takdir ho apni jagir ho
dono hatho me bal bacho ki lakir ho
mahal taiyar ho jisme pariwar ho
mere bacho ke bache ek hazar ho
bacho ki nani ho
uski padnani ho to phir beda par ho
sham suhani ho nadi ho pani ho
dil ki rani ho to phir beda par ho
chaudi peshani ho aankh mastani ho
chayi aasmani ho to phir beda par hai
sham suhani ho