Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Sham Rangin Huyee Hai, Tere Aanchal Kee Tarah
|
Suresh Wadkar, Usha Mangeshkar | C Arjun | ||||
Kanoon Aur Mujrim (1981) | Kaifi Azmi | ||||||
sham rangin huyi hai tere aanchal ki tarah
surmayi rang saja hai tere kajal ki tarah
pass ho tum mere dil ke mere aanchal ki tarah
mere aakhon me base ho mere kajal ki tarah
sham rangin huyi hai tere aanchal ki tarah
aasama hain mere armaano ka darpan jaise

dil yu dhadake meraa khanke teraa kangan jaise
mast hai aaj hawaye mere payal ki tarah
surmayi rang saja hai tere kajal ki tarah
sham rangin huyi hai tere aanchal ki tarah
meri hasti pe kabhi yu koyi chhaya hi naa tha

tere najdik mai pehle kabhi aaya hi naa tha
mai hu dharti ki tarah tum kisi badal ki tarah
surmayi rang saja hai tere kajal ki tarah
sham rangin huyi hai tere aanchal ki tarah
aisi rangin mulakat kaa matlab kya hain
aisi rangin mulakat kaa matlab kya hain
in chhalakte hue jajbaat kaa matlab kya hain
aaj har dard bhula do kisi pagal ki tarah