Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Shadi Karungi
|
Alka Yagnik, Amit Kumar | Ram Laxman | ||||
Dil Ki Baazi (1993) | Dev Kohli | ||||||
ghawaale kahte hai ladki hui jawaan
haath peele honge kab sab hai pareshaan
ghawaale kahte hai ladki hui jawaan
haath peele honge kab sab hai pareshaan
shaadi karungi shaadi karungi
ha shaadi karungi shaadi karungi
mushkil to ye hai kisse karungi
ye maamla hai saari umar ka
isme naa koi jaldi karungi
bol gori bol kya iraada kiya
laakho hai ladke tu chun le piya
haaye re bol gori bol kya iraada kiya
laakho hai ladke tu chun le piya
aajkal ke ladke hai berang lifafe
peete hai daaru ye karte hai faanke
aajkal ki ladkiyo ka rang hai anokha
chaalaak ladko se khaati hai dhokha
tauba karungi tauba karungi
haaye tauba karungi tauba karungi
mai aise ladke se tauba karungi
ye maamla hai saari umar ka
isme naa koi jaldi karungi
jaldi me kyu tune faisla kiya
soch le tu phir se tujhe mauka diya
haaye re jaldi me kyu tune faisla kiya
soch le tu phir se tujhe mauka diya
ladko ki akal ki band khidkiya hai
ladko se badhkar to hum ladkiya hai
ladko se chalta hai saara jamaana
tumhe sirf aata hai nakhare dikhana
nakhare karungi nakhare karungi
ha ha nakhare karungi nakhare karungi
magar apni marji se shaadi karungi
ye maamla hai saari umar ka
isme naa koi jaldi karungi
pachhataayegi jo tune nakhara kiya
kahana tha mujhko wo maine kah diya
haaye pachhataayegi jo tune nakhara kiya
kahana tha mujhko wo maine kah diya
ladko ki aadat hai maska lagana
najar ek par dusari par nishana
tum ladkiyo ka ye shak hai puraana
dhundho to mil jaaye sachcha deewaana
aisa mila to balaiya mai lungi
ha aisa mila to balaiya mai lungi
aise hi dulhe ki dulhan banungi
ye maamla hai saari umar ka
isme naa koi jaldi karungi
rab teri sun le hai meri dua
mil jaaye manchaaha tujhko piya
haay rab teri sun le hai meri dua
mil jaaye manchaaha tujhko piya