Lyrics of Shaakho Pe Jo Khilthi Hai - शाखों पे जो खिलती हैं
shakho pe jo khilti hai
kahaniya kahta hu
main kirni bhalu hu
jungle me rahta hu
shakho pe jo khilti hai
kahaniya kahta hu
main kirni bhalu hu
jungle me rahta hu
langur bhi angur bhi, hai panchhi aur machhi bhi
kala koua, lalu bander
ek lomdi jhuthi sacchi bhi
aur gidad vidad, bichhu bhalu
sabke apne kisse hai
jungle hai ek
lekin isme sabke hisse hai
langur bhi angur bhi, hai panchhi aur machhi bhi
kala koua, lalu bander
ek lomdi jhuthi sacchi bhi
aur gidad vidad, bichhu bhalu
sabke apne kisse hai
jungle hai ek
lekin isme sabke hisse hai
jhagde, lalach, dosti aur niti samjha du
kuch hone wali baate
kuch dil ki batla du
mera jungle to dekha tum logo ne
lekin waha ke bashinde
yani lekin waha ke rahne walo se
aapka parichay nahi hua
jaise aap log apne mulk ka
itihaas padhte hai na
usi tarah humare jungle ka bhi
bahut purana itihaas hai
waha bhi bade bade raja aur ran
ye jo itihaas hai unki
kahaniya hai
jaise raja kapi
ek bada meharban, balwan, vidwan
gyani raja tha
bandaro ka raja, raja kapi
raja kapi ne apne bandaro se kaha tha
ke aam khao aur guthli fenk do
lekin dekho koi aam
nadi me kabhi mat fenkna
aur sab bandaro ne uski maan li
uske raaj me bander badi mauj karte the
na koi darr, khauf, chinta
vusul asul to koi tha nahi
bindas jeete the pedo par
kudte faante chhlange lagate
aur gaaya karte the