Lyrics of Sawan Ke Mahine Me Ik Aag Si Seene Me - सावन के महीने में इक आग सी सीने में
sochta hun ki piyun piyun na piyun
taak daman ke siyun siyun na siyun
dekh kar jaa kashmakash me hun
kya karun main jiyun jiyun haay! na jiyun
sawan ke mahine me, ek aag si sine me
lagti hai to pi leta hu, do char ghadi ji leta hu
sawan ke mahine me, ek aag si sine me
lagti hai to pi leta hu, do char ghadi ji leta hu
sawan ke mahine me
barso jhlakaye maine, ye shishe or ye pyale
barso jhlakaye maine, ye shishe or ye pyale
kuch aaj pila de aise, jo mujhko hi pi le
har roj to mai hu hi, dil ko bahka mai pi leta hu
do char ghadi ji leta hu, sawan ke mahine me
lambe jiwan se achha, vo ek pal jo apna ho
lambe jiwan se achha, vo ek pal jo apna ho
us pal ke baad ye duniya, kya gam hai agar sapna ho
kuch soch ke aisi bate, ghabara ke mai pi leta hu
do char ghadi ji leta hu, sawan ke mahine me
maikhane me aaya hu, mausam ka ishara pa ke
maikhane me aaya hu, mausam ka ishara pa ke
dum bhar ke liye baitha hu, rangi sahara pake
sathi jo teri zid hai to, sahrma ke mai pi leta hu
do char ghadi ji leta hu
sawan ke mahine me, ek aag si sine me
lagti hai to pi leta hu, do char ghadi ji leta hu
sawan ke mahine me