Lyrics of Sau Saal Pahle Ki Baat Hai - सौ साल पहले की बात है
sau sal pahle ki bat hai
sau sal pahle ki bat hai, bharat ke ek pariwar me
ek tyag murti balak ka awtar hua sansar me
sau sal pahle ki bat hai
us tyag murti balak par dekho honi ne anyay kiya
masum abhi palne me tha, mamta ka aachal chhin liya
soteli ma se usko mata ka pyar na mil paya
mali tha bagiya thi fir bhi, man ko to phul na khil paya
us kali se to balak to patjhad hi mila bahar me
ek tyag murti balak ka awtar hua sansar me
sau sal pahle ki bat hai
bhola bhala tha oro ke dukh se, dil ko dukhi kar leta tha
oro ki aankh ke aasu apne daman me bhar leta tha
thi char diwari me nari or tha agyan ka andhiyara
har taraf thi maut mahamari or bhukha tha bharat sara
use man hi man vragya hua, jab dukh dekhe sansar me
ek tyag murti balak ka awtar hua sansar me
sau sal pahle ki bat hai
ek roz nikal jaye na kahi beta ban me sanyasi
ye soch ke pita ne mangni kar di dhund ke ladki chanda si
agya to pita ki mani par dulhan ke ghar ye khat bheja
hai rah meri kato wali adarsh mera hai jan sewa
phir mujhe pyar dhalna hai sari dunia ke pyar me
ek tyag murti balak ka awtar hua sansar me
so sal pahle ki bat hai