Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Sari Duniya Me Dekhe Hai
|
Lata Mangeshkar | Ravi | Sunil Dutt, Nutan | |||
Meharban (1967) | Rajindra Krishan | ||||||
sari duniya me dekhe hai do anpadh nadan
ek tum duje bhagwan ek tum duje bhagwan
sari duniya me dekhe hai do anpadh nadan
ek tum duje bhagwan ek tum duje bhagwan
jisne ye sansar banaya bolo kisne use padaya
jisne ye sansar banaya bolo kisne use padaya
duniya ko sikhlane wala kiske ghar se sikh ke aaya
is par bhi vo naam ka bhola
bante sabko ghyan bante sabko gyan
sari duniya me dekhe hai do anpadh nadan
ek tum duje bhagwan ek tum duje bhagwan
kaha padhe ye chand sitare jo dete jag ko ujiyare
kaha padhe ye chand sitare jo dete jag ko ujiyare
us gyani se murkh acha jo duniya ke kaam sanvara
paas hai jiske dhan se vakha
vo sacha dhanwan vo sacha dhanwan
sari duniya me dekhe hai do anpadh nadan
ek tum duje bhagwan ek tum duje bhagwan
jo apne bal ko pehchane haar kisi se kyu vo mane
jo apne bal ko pehchane haar kisi se kyu vo mane
karam ko apne dharam samjhe kaun aayega use jhukane
chhod udasi kahe ye dasi o bhole insan o bhole insan do
sari duniya me dekhe hai do anpadh nadan
ek tum duje bhagwan ek tum duje bhagwan