Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Sare Jahan Ki Amanat Hai Ye
|
Kishore Kumar | Bappi Lahiri | Raj Babbar | |||
Armaan (1981) | Indeevar | ||||||
saare jahan ki amanat hai ye
ye jeevan tumhara tumhara nahin
saare jahan ki amanat hai ye
ye jeevan tumhara tumhara nahin
jeene ke laakhon sahare yahan
bas ek hi to sahara nahin sahara nahin
agar koi duniya se ruthe to kya
koi phool khilte hi toote to kya
agar koi duniya se ruthe to kya
koi phool khilte hi toote to kya
sitare hazaaron hai aakash par
bas ek hi to sitara nahin sitara nahin
saare jahan ki amanat hai ye
ye jeevan tumhara tumhara nahin
jeevan mitana hai diwanapan
koi pyar jeevan se pyara nahin
kisi ke iradon ke khatir jiyo
kisi ki muradon ke khatir jiyo
kisi ke iradon ke khatir jiyo
kisi ki muradon ke khatir jiyo
hai yaadon mein jeena bhi to zindagi
jeena tumhe kyo gawara nahin gawara nahin
saare jahan ki amanat hai ye
ye jeevan tumhara tumhara nahin
jeevan mitana hai diwanapan
koi pyar jeevan se pyara nahin
kaisi udasi ye kaisa hai sokh
jeevan mein aate hai jate hai log
kaisi udasi ye kaisa hai sokh
jeevan mein aate hai jate hai log
naya koi saathi khara rahon me
use pyar se kyo pukara nahin pukara nahin
saare jahan ki amanat hai ye
ye jeevan tumhara tumhara nahin
jeevan mitana hai diwanapan
koi pyar jeevan se pyara nahin
jeene ke lakhon sahare yahan
bas ek hi to sahara nahin sahara nahin