Lyrics of Sar Se Sarake, Sarake Chunariyaa - सर से सरके, सरके चुनरिया
sar se sarke, sarke chunariya, laaj bhari ankhiyo me

ho maiya, gaaye saajan, o behna, hoke magan naache, sakhiyo me

naino me nindiya, nindiya me sapne
sapno me saajan jabse basa bahaare aayi jivan me
nayi halchal hai tan man me, ik rup basa hai ankhiyo me

kuchh lamhe jivan ke chura le, saaso ki ye aag bujhaa de
duniya se dur nayi duniya basa de
jab se mili hai tujhse nigahe jaadu ye kaisa mujhpe hua
ke dil jab tanha lagta hai mujhe kuchh aisa lagta hai
tu jhaank raha hai ankhiyo me
sar se sarke, sarke chunariya, laaj bhari ankhiyo me
aaj ka har ik pal sundar hai, kal kya ho kisko ye khabar hai
lamba safar, zindagi muqtasar hai
dar lag raha hai kya jaane kya ho dil tujhko maine jabse diya
udi hai ninde ankhiyo se, teri aisi hi baato se
badnaam huyi hu sakhiyo me
sar se sarke, sarke chunariya, laaj bhari ankhiyo me
ho maiya, gaaye saajan, o behna, hoke magan naache, sakhiyo me
naino me nindiya, nindiya me sapne
sapno me saajan jabse basa bahaare aayi jivan me
nayi halchal hai tan man me, ik rup basa hai ankhiyo me
sar se sarke, sarke chunariya, laaj bhari ankhiyo me
taaro se ye maag saja du, hontho pe ik phul khila du
tere liye saari duniya bhula du
mahakega saara gulshan hamara, dil ka sahara baahe teri
khushi se hari bhari hogi, ye duniya teri meri hogi
ik phul khilega bagiyo me