Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Sansaar Se Bhaage Phirate Ho
|
Lata Mangeshkar | Roshan | Ashok Kumar, Meena Kumari | |||
Chitralekha (1964) | Sahir Ludhianvi | Philosophical Songs | |||||
sansar se bhaage phirte ho
bhagwan ko tum kya paaoge
is log ko bhi apna na sake
us lok me bhi pachhataaoge
sansar se bhaage phirte ho
ye paap hai kya ye puny hai kya
rito par dharm ki mohare hai
ye paap hai kya ye puny hai kya
rito par dharm ki mohare hai
rito par dharm ki mohare hai
har yug me badalte dharmo ko
kaise aadarsh banaaoge
sansar se bhaage phirte ho
ye bhog bhi ek tapasya hai
tum tyaag ke maare kya jaano
ye bhog bhi ek tapasya hai
tum tyaag ke maare kya jaano
tum tyaag ke maare kya jaano
apmaan racheta ka hoga
rachna ko agar thukaraaoge
sansar se bhaage phirte ho
ham kahte hai ye jag apna hai
tum kahte ho jhutha sapna hai
ham kahte hai ye jag apna hai
tum kahte ho jhutha sapna hai
tum kahte ho jhutha sapna hai
ham janam bita kar jaayege
tum janam ganva kar jaaoge
sansar se bhaage phirte ho
bhagwan ko tum kya paaoge
sanaar se bhaage phirte ho